Posts

Mohabat Ka Akhiri Lamha

·         Mujeh Zakhim-e-Mohabat deh ke Jaaga Rahey Hoo, Kar Ke Tanha, Bechain Kar Rahey Hoo.   ·         Batawon Tumeh Ehsas-e-Dard Aapna, Magar Tum Hoo Ki Nazar Andaaz Kar Rahey Hoo.     ·         Jinn Nighhoon Se Jeena Sekha Tha, Unn Nighhoon Se Aaj Gira Rahey Hoo.   ·         Kal Tak Merey Sath Jeeney Ki Tamanah, Aaj Mujhi Se Nafrat Kar Rahey Hoo.     ·         Itna Bebas Kar Diya Ki Aaj Marne Ki Khawaish Pey, Mujeh Aamaada Kar Rahey Hoo.   ·           Keh Bi Doo Aab Aapni Zubaan Se Ki Ishq Nahi Raha, Yeh Pardha Iss Nafrat Ko Aaj Kyu Kar Rahey Hoo.     ·         Mitadoo Mere Mohabat Ke Saarey Nishaan, Yeh Tamasha Aaj Kyu Kar Rahey Hoo.   ·         Ubar Kar Aa hi Jayein Gey Ishq ke Ansoon, Tum Kyu Aapni Nighhoon Ko Chupa Rahey Hoo.                                                                                                                Raazkashmiri

You know Who We Are!

  ·          Jiss ko Ehad “Alas Tu Be Rabikum, Kalu Bala” yaad hoo, Ussey kya Duniya Mein magan kar pawoo gey Tum.   ·          Jiss ne Dekha hoo Muhammad (SAW) ko Rubaru, Ussey kya Zamaney ka Husn dekhawo gey Tum.   ·          Jiss ne jaana hoo Quran ki Haqikat ko, Ussey kya Duniya ka Falsafa padawo gey Tum.   ·          Jiss ki Nazrein Rab ke Deedar ko Tarasti hoo, Ussey kya kissi Rangh ki Ghulami karwawo gey Tum.     ·           Jiss Ne Dekha hoo Khalid (RA) ka Lashkar, Ussey kya Jung ki baat karoo gey Tum.   ·          Jiss Ne Ullat diya hoo Roman aur kaisar ke Takhte ko, Ussey kya Maidaan mein Lalkaroo gey Tum.     ·          Jiss ne Pada hoo kalimeh mein Tauheed ki Shahadat, Ussey kya maut se Darawo gey Tum.   ·          Jiss ne Sahil pey Aake Jala dii Kashtiyan, Ussey kya Siyasat ka Sabak padawo gey Tum.                                                                                                                 Raazkashmiri  

When You Will Fall In Love.

* Tumeh Jab Hum se Mohabat Hoogi, Tu Saarey Qayanat ko Khabar Hoogi.   * Fizawoon Mein Khushboo Kuch Alag Se Hoogi, Sitaroon Mein Chamak Ek Nayee Intiha Ki Hoogi.   * Baharoon Se Sadayein Aayein gii, Dariyoon se Lehrein Uthein gii. Din Raat Bass Yehii Arizoo Hoogi, Tumareh Labbon Par Merey Naam Ki Kashmokash Hoogi.   *   Ki Iss Qader Teri Dunia Mein Bass Jawon Ga, Dekhoo gey Jab Aiyeney Mein Aapni Surat, Nigha-hon Mein Merey Aqass ki Sazishein Hoogi.   * Yun Ibtida Ulfat ki Teri Fitrat Main Hoogi, Mitawoo gey Jab Kabi Gaflatan Mera Naam, Tumari Ruh Kammti Hoogi.   * Bassawoo gey Yun Mujeh Aapney Khayalon Main, Aapni Baaton Main, Ki Merey Na-Hooteh Huvey bi, Terey labon Pey Merey Naam ki Tazbi Hoogi.   * Ishq Atayee Rehmat Hain Raaz, Jab Tuj pey Hoogi, Tu Be-Intiha Hoogi.   * Tumeh Jab Hum se Mohabat Hoogi, Tu Saarey Qayanat ko Khabar Hoogi.

Last words to My Beloved

  * Mein Aab bohut dorr chala jawoon ga, Tumeh Aab kabi Mein yaad na Aawon ga.   * Merey Rukh se jab bahein gey ansoon, Mein ashq ankhoon ke nazar mein chupa loon ga, Tumeh Aab kabi Mein yaad na Aawon ga.   * Gham se barey ga jab yeh dil mera, Mein Aapney dil ko samjhawon ga , Mein Aab bohut dorr chala jawoon ga.   * Hain Manzil ko Meri Aab talasha meri, Mein safar Tanha Aab karoon ga, Tumeh Aab kabi Mein yaad na Aawon ga.   * Meri sansoon mein jab uthey ga teri dhadkanon se naam tera, Mein Aapney laboon ko see loon ga Mein Aab bohut dorr chala jawoon ga.   * Rukh karoo gey jab Qibley ka dua mein mera naam aayeh ga, Manghoo gey KHUD se mera pata, Aur mein Lapata hoo jawoon ga, Tumeh Aab kabi Mein yaad na Aawon ga.   * Milein gey jab tumeh iss jahan mein merey humnaam kahi, Dhoondh gey unn mein meri sohabat, Afsoos yeh itna Aasaan nahi hooga, Mein Aab bohut dorr chala jawoon ga.   * Merey dil mein aateh hai ubar ke terey zakhim

The Last Rite of Love

 Mohabat mein nahi hai Sharat koii, Woh Humeh Dard behisaab bewaja dehteh hai. Hum ne Bi khoob manaya hai Mohabat mein Maatam, Hum bi ishq mein Rusva huvey, roo padey aur khaar huvey. Hum ne bi Dil ki Tanhayun ka Alam dekha Hai, Hum ne bi unn Chand raatoon mein Ankhoon ki Nami ko Gawaya Hai. Kassam khaii thi Taa umrh na Saaki ko cheedein gey raaz,  Kambakht Ishq ne humeh Sharaabi bana diya.  Mein Aaj bi tadap uthta hoon usski ek jalak dekhney ko,  Zamaney beet gayeh Humeh usska tasavur tak na mila.  Kiss ne kaha ki hum mohabat mein Haar  gayeh thy,  Hosila raaz jaisa, Sultanat- e-Kaiser chahiyeh mohabat mein mitaney ke liyeh. 

Definition of history

 "History is a Time Machine, to travel in past and predict future. But the machine needs well developed and open minded driver to drive."

Promise

  A PROMISE...the legacy of LOVE. Promise! once made, must be carried on in every circumstance no doubt whether the situation is in your favor or against you. A beautiful life is impenetrable along with countless sufferings and mistakes but without a single deceive. obliviously we are human beings but we can not attain hundred percent perfection but we must strive and struggle to lead towards perfection. I believe for any person in this world when he/she has smash his/her first promise that must have inflict heavy pain on once heart and mind, and equal amount of joy when he/she has ever fulfilled his/her promise. What differentiate us from animals that is animals are instinctive and we as human beings posses morality. If one has lost his/her morality, how could he even imagine goodness in him. the morality comes through words. Even the Creator of this universe through numerous testimonies engraved HIS word that struggle on right path you will surely receive reward and deviation from su

Destination

* Na Manzil Ka Pata tha Mujeh,  Na Raatoon ka Thekana tha,  Awara Safar tha Mera,  Meri Har Shaam Tanhaiyun Mein Thi.  * Suni Jo Teri Qadmoo ki Ahat Tu Yun Bahar Ayee,  Teri Aamad se Meri Zindagi Mein Khushboo ki Hawayein Ayee.  * Miley Hum-Naam Terey Tujse bi pehley kahii,  Magar Unn Mein Teri Jaisi Rangath Terey Jaisi Mithas kahan thi.  * Thi Ankhein Meri Nam Kahii Barsoon se,  Jo Dekha Tune Meri Ankhoon Mein Tu Thandak si Aa gaii.  * Udassi Chaee Thi Chehereh Pey Merey,  Jo Fehra Hath Tune Tu Muskurahat lout Ayee.  * Ishq kya Hai Mein kya kahoon,  Chand saamney Hooke Bi,  Mein Teri Nighahoon Mein ulajta hoon.                                           By = Raaz-Kashmiri

Mohabat ke Rangh

* Ki Mohabat uss ne Mujse,  Phir Bhula Diya Mujeh. * Safar Mein Sath Chaley,  Phir Chood Diya Mujeh.  * Xheen Kar Meri Tanhaiyun ko,  Phir Be-bass Kar diya Mujeh.  * Ehtimaad Ke Oroojon pey laaya,  Phir Gira Diya Mujeh.  * Aapni Sansoon ki Aadat daal Kar,  Phir Muhataaj banaya Mujeh.  * Lafzoon ko Tarashna Sikhaya,  Phir Meri Zubaan se mehroom Kiya Mujeh.  * Ishq Rehmat Hai Yakeen Dilaya,  Phir Issi se Hara Kar Zalim Bana Diya Mujeh.                                                Raaz kashmiri

ALVIDA

 * Mujeh Yaad nahi uss safar ka Rukh koi, Mein Aapni yaadon ko Mita raha hoon. * Yeh shamiyana Mubarak hoo tum ko, Mein aapni tanhayan basa raha hoon. * Tu ne Dosti ke naam pey khatim ki mohabat meri, Par meri Ruhh ki Dunia mein thi, bass kahaniyan tumari.  * Tu ne jiss Ehsaas se chaha Sath mera, Kassam khuda ki mein ne aapni mohabat bi bhula Dii. * Tera yun Sajna Savarna mujeh zindagi dehta hai, Tera yun muskurana mujeh Ashiq bana dehta hai. * Ek ehsaas yeh ki zinda hoon mein, Ek khalish yeh ki mera humsafar nahi tu. * Tu mujse Wafa-woon ki Daleeleh na Talab kar, Tujse behter bi jaaney kya koii mohabat meri? * Iss safar-E- Azeem ko mera salaam mujeh koii Gila nahi, Bass mera bichad jaana teri khushyun ke khatir tha. * Terey sath hoo ke bi, mein Tujeh paa na sakha, Aur koi dorr se hi tumeh hasil kar gaya. * Woh ulfat ke khawab, Khawab hi rahey, Phir na palat ke dekha uss dunia ko humne. * Mujeh Talash na kar, Aapne Waqt ko Zaya na Kar, Mujeh Ek khawab ke Evas Qaidkhoon ki dunia mili, M

Teri Talash

* Mein Khalwatun Ka Musafir Hoon,   Mujeh Mehfilon se kya Gariz. * Mera Roona Bi Goonjita Hai tu in Pahadoon Mein,  Merey Aansoon bi Behteh Hai Tu Banke Barishein in Vaadiyun Mein.  * Dariya Na Talash Kar Mujh Mein,  Samandar behta Hai merey Dil Mein.  * Aabaad Rahey Yeh Sehra,  Mujeh usski Mohabat Yaad rehti Hai.  * Aagaz-e-Ulfat Mein Yeh haal Hain,  Mukam-e-Ishq Mein Tu Jaan hi jayeh Gii.  * Nahi Raazi Hai woh Sirf merey Sajidun se,  Woh Zindagi Bar ki Etaat chahata Hai.  * Tark-e-Dunia karna pada usski Mohabat ke khatir,  Varna Dil Lagii Mein kab Khuda Milta Hai.                                      By : Raaz-Kashmiri

Mohabat Mein kufur huva hooga.

*Mohabat mein Kufur huva hooga, Merey yaar ko mera Naam Yaad Aaya Hooga. *Tumeh khabar nahi Merey Haal Ki, Veran Basti ko dekhna aur mujeh tasavur mein rakhna. *Mohabat ne iss qadar tooda hain humeh, Zindagi bar ki liyeh khud ko gawa diya hum ne. *Sonchta hoon bichad ke dunia se khush rahoon ga, Magar yeh bi khayal hai ki tujse juda rahoon ga. *Aur kya kahoon ussne mujeh kaisey barbaad kiya, Mujeh tanhaii mein bi rusva kar diya. *Udaass tha kahii barsoon se, magr talash mein tha usske, Gumand hi toota mera, jab ussey bahoon mein dekha kissi aur ke. *Mujeh Fannah bi karta hain tu bass ek Aansoon usska, Mein zindagi bar rooya usske Laboon ke nishaan bi na miteh. *Ussne Mujeh Eid ke raat ko bi rulaya, Ussne mujeh dard ke siva kuch na diya. *Aab tu usska hoona bi merey liyeh mushkil hai, Yah who guzar jayeh, ya humeh guzarne deh. *Talash mien hoon kisssi Aisi jaaga ki, Jahan usski yaadoon ko bi ijaxat na miley.                                     By : Raaz-ka

Shook-e-Mohabat

* Shook-e-Mohabat Mila hai Tujse, Magar Bewafaii bi Tu Mili Hai Tujse. *Aapni nazrein juka ke Tasleem kiya tha tujeh, Khud se Ziyada teri parva ki thi Mein ne. *Shikayat Karoon mein kiss Se, Teri hi Bazoon Ne thaama tha Mujeh, Terey hi hathoon mein khanjar dekha mein ne. *Hifazat Dushmanoon Se kar Bi loo gey tu, Kaisey mehfooz Rahoon gey Raaz, Terey yaar ki nighahoon mein Qatil ki aadayein hain. *Seemat jaata hain meri ankh ka panee yun, Tera naam lehteh hi dariya ban ke behta hain. *Koshishein Bohut ki kissi aur se ishq karne ki, Magar teri yaadoon ne kafir na hooney diya.                                 By : Raaz-Kashmiri

Dorr-e-Corona

* Humari har Khushi ko Mitaya Hain Tu Ne, Humeh Ranj-o-Gham Mein Mubtala Kiya Hain Tu Ne. * Taleem-e- Idharoon Se Nikala hain Tu Ne, Humeh Dostoon Se Jude Kiya Hain Tu Ne. * Dunia Ke Mehfiloon Se Utha Kar, Ghar Ke Qaid Khanoon Mein Bethaya HainTu Ne. * Baazaroon Ki Roonak Cxeen Kar, Daashatt Ki Aag Lagaii Hain Tu Ne. * Ban KE Waabah Tu Aaya Hain CORONA, Humarey Diloon Mein Khoof Barpa Kiya Hain Tu Ne. * khamosh kar Diya Dunia Ke Sab Tajiroon Ko Tu Ne, Itrateh Thy Aapney Hunar Pey hum, Sab Khaak kar Diya Tu Ne. * Masjidoon Se Maii-Khanoon Se Nikala Hain Tu Ne, Humeh Har Jaaga Se Ruswa kiya Hain Tu Ne. * Har Khaas-o- Aam Ko Ek Kiya Hain Tu Ne, Har Ek Zindagi Ko Ehsaas Dilaya hain Tu Ne. * Hadood Mein Jeena Sikhaya Hain Tu Ne, Fazool Kharchoon Se Bachaya Hain Tu Ne * Yaad Aawoo Gey Tu Larze Gii Ruhh Humari, Aisey Khoof ka Waqt Guzara Hain Tu Ne.                                       * By = RaazKashmiri

Akhiri Muqaam

* Dekhney Deh Mujeh, Jee bar Ke Dekhoon Tujeh,  Aapni Surat Nighahoon Mein Basaney Deh Mujeh. *Tum Miley Meri Sansoon Mein Nami Si Aa Gaii Thi,  Merey Dil Ke Dard Mein Kuch Kami Si Aa Gaii Thi. * Kuch Yaad Nahi ki Hum Kahan se Aagaz Kar Behthy, Teri Mohabat Mein Khuda Jaaney Kitney Kafileh Badal Behthy. * Merey Dushmanoon Se Pata Karna, Mein ne Tumare Naam Pey, Khud Ko Bi Neelam Kar Diya. * Hyy! Doob Gayeh Iss Ishq Ke Tala-Tum Mein Hum, Najaaney Kitney Samandaroon Se Guzreh Thy Hum. * Tum Ne Kitni Aasaani Se Badal Diyeh Reshteh, Hum Ne Aapni Zindagi Gawa dii Itney qayim karteh Karteh. * Palat Ke Bi Na Dekha Tum Ne, Mein Ne wahii Aapna Mazaar Bana Diya Tha.                                             By : Raaz-Kashmiri